Saturday, July 31, 2010

Zindagi kya hai samaj mein aayi

zindagi kya hai samaj mein aayi
jis din tu meri zindagi mein aayi

maut ki nahi thi parwah
par jeene ki fir ek nayi aas jag aayi..
jab tu pehli baar mujhe dekh muskurayi

anjaan tha mein
nahi jaanta tha khushi kise kehtein hain
par gum se meri hui ladai
jab tune hansi se meri dosti karwayi

na dil ko chain tha aur na hin aaonkhon mein neend thi
par mera dil mera na raha
jab tu khwab ban need mein mere saamne aayi

suna tha bahut muhabbat ke baare mein
par asli chaahat kya hoti hai iska ehsaas tab hua
jab teri khushboo saans bankar meri dharkano se takrai..
jab tune roshini bankar mujhe ek nayi dunia dikhlayi

zindagi kya hai samaj mein aayi
jab tu meri zindagi mein aayi

LAST Wish

Mein aatma hoon
Khuda se ek akhri zindagi ki guzarish chahta hoon

Haale dil tumse kabhi keh na saka
Tumhein apni us nayi zindagi ki saans banana chahta hoon

Tu khud ko sawaarna bhool gayi hai
Tere in uljhe baalon ko suljhana chahta hoon
Tere gaalon mein Sat bankar tujhe aur khoobsurat banana chahta hoon

Teri ankhen aansuon ke kaaran sookh si gayin hain
Unpar kaajal bankar chamakna chahta hoon

TU apne kaam mein itni doob si gayi hai
Teri neend bankar tujhe aaram panhuchana chahta hoon

Tu aaj kal mujhe bhool si gayi hai
Teri smriti ban kar tujhe yaad dilana chahta hoon
Ki tujhe apne dil ki dharkan banana chahta hoon
Khuda se ek akhiri zindagi chahta hoon
bas ek akhiri khushi chata hoon.

Palkein knun jhapkayin ?

Raat mein dekha tha jo palken band kar ke
Khwab wo abhi adhoora hai

tera wo meri taraf aana aur wo pehli jhalak
ankhon ke saamne abhi bhi wahi chehra hai

tune jo mujhe dekh kar zhukaayi nazren
tera wo andaaz bhi niraala tha

tera sharmana fir adaaon ka kaher
dil ko jaise ghayal kar daala tha

dil ne kaha tujhse poonchun tera pata
par zaban pe jaise laga taala tha

itne andhere mein tera raushan chehra
jaise raat ko cheer raha ujaala tha

teri chamak se meri aankhen ruk si gayin
jaise kisi ne jaado kar daala tha

socha tha tujhko apni nazron mein kaid karloon
palkein jhapkaayin to pehchana ki hua savera hai
raat mein dekha tha jo palkein band kar ke
khwaab wo abhi adhoora hai...

Jhulfein

Door aasmaan tale dekhta hoon jab mein in chaand sitaron ko
feeki lagti hain ye saari ranginian
palat ke jab mein dekhta hoon teri in chamkti jhulf ki baharon ko
aankhen meri us pare kuch dekh na paanyen
teri kaali kaali jhulfen jab lehrain
teri en bezabaan zulfon ki boli ko samjhne
mein aakhen bas dekhti jaayen....

khuda se ek iltezaa hai meri
ki agale janam mujhe teri zoolfon ki wo lat banae
jo tere makhmali gaalon se serakkar
tere rasbhare hoton ko chu jaaye
aur jab tu apni unglion se us lat ko apne kaan ke peeche fansaaye
to ye dar hai mujhe ki kanhi us waqt mere dil ki dharkan na ruk jaaye
aur wo baal tut kar kahin zameen par na gir jaaye.
aur wo baal tut kar kahin zameen par na gir jaaye.

Meri Chahat

ye chahat hai kaisi hai ye kaisi mohabbat
tere sung rehkar ye sochta hoon main

yakeen hai mujhe ki tu bepanaah mujhe chahati hai
ye sochkar tanhayi mein khush hota hoon mein

per ye duniya ki diwaren, ye rasmein, ye kasmein
teri in majboorion ko jaankar chup rehta hoon mein

raat ki khamoshi mein nahi hoti hai jab tu mere paas
to tere sung bitayi yaadein, wo lamhein, wo pal
unke sahaare so leta hoon mein

nahi jaanani apni takdeer mujhe
tabhi to har pal tere sung ek nayi jindagi ji leta hoon mein

Tumhari yaad jo aati hai

chup chup gumsum si jo aaj baithi hoon
jo lamha guzar gaya usi ko ab yaad karti hoon
kabhi khamoshi mein hoti hoon
kabhi akele mein roti hooon

kisi din muskurahat mere hoton ko chuti hai
jab teri yaad meri aankhon mein hoti hai
aur doosre hin pal mein aankhen bheeg jaati hain
par hont tab bhi muskurate hain
aur aansoo girte jaate hain
aansoo girte jaate hain...

aankh kab lagjati hain
ab na maloom padta hai
hosh mein rahoon ya neend mein
ab kya fark padta hai!!

sapno mein kam se kam tum milne to aate ho
mere ruksaar ko chute ho
mere baalon ko sehlaate ho
mere gaalon ko apni ungliyon se chu kar
aankhon mein doob jaate ho
us pal main bahut sehmi si rehti hoon
tera nasha chadta dekh...mera aap pe na kaabo rehta hai
mein khud ko bhool jaati hoon...
aur bas tujmein samati hoon
bas tujmein samati hoon.......

Hmmm...

Ye rab ka hai khel ya kudrat ka dastoor hai
tu mere itne paas ho kar bhi kitni door hai
khwaish hai ki tere daaman mein bhar doon khushian hin khushian
par ye tu bhi jaanti hai ki ye dil kiske haanthon majboor hai

Monday, July 20, 2009

Dosti ki daastan

Tujhe dekha aur teri nazron se dosti ki
Teri soch mein dooba aur teri chahat se dosti ki
Tujhse haale dil kaha aur teri muhabbat se dosti ki
Tere Ikraar pe meine zindagi se dosti ki
Tere sung haseen lamhe bitaaye aur teri yaadon se dosti ki
Tujhko apni baahon mein sameta aur teri khushboo se dosti ki
Tune ki bewafai aur teri nafrat se dosti ki
Dil ne nafrat hone na di to tujhe bhoolne ki galati ki
Tujhe bhulana paaye aur aansuon se dosti ki
Teri judai ka gam seh na sake aur AKHIR 'baba' maut se dosti ki.

dosti ka maza

Mausam kabhi ek sa nahi rehta
badal jaata hai
doston ki dosti mein bhi utaar charaav aata hai
maaza kya aayega jab ek sa mausam rehjaayega
kabhi takraar to kabhi pyar mein hin to dosti ka asli maza aata hai..

Teri adat

Na jaane knun aaj ye zindagi adhoori se lagti hai
khushyon ke pal se ek doori si lagti hai
aaj tujhse baat nahi hui..laga ek arsa guzar gaya
tujhse milna ab ek majboori si lagti hai