Monday, July 20, 2009

Dosti ki daastan

Tujhe dekha aur teri nazron se dosti ki
Teri soch mein dooba aur teri chahat se dosti ki
Tujhse haale dil kaha aur teri muhabbat se dosti ki
Tere Ikraar pe meine zindagi se dosti ki
Tere sung haseen lamhe bitaaye aur teri yaadon se dosti ki
Tujhko apni baahon mein sameta aur teri khushboo se dosti ki
Tune ki bewafai aur teri nafrat se dosti ki
Dil ne nafrat hone na di to tujhe bhoolne ki galati ki
Tujhe bhulana paaye aur aansuon se dosti ki
Teri judai ka gam seh na sake aur AKHIR 'baba' maut se dosti ki.

dosti ka maza

Mausam kabhi ek sa nahi rehta
badal jaata hai
doston ki dosti mein bhi utaar charaav aata hai
maaza kya aayega jab ek sa mausam rehjaayega
kabhi takraar to kabhi pyar mein hin to dosti ka asli maza aata hai..

Teri adat

Na jaane knun aaj ye zindagi adhoori se lagti hai
khushyon ke pal se ek doori si lagti hai
aaj tujhse baat nahi hui..laga ek arsa guzar gaya
tujhse milna ab ek majboori si lagti hai

Samay

Samay lagta hai paharon ko atal hone mein
Samay lagta hai peron ko prabal hone main
Apne Raaston se kabhi mat hoto kyonki
Samay lagta hai mehnat ko safal hone mein

Sach

Aaj tumhein fir chahne ki khata karta hoon

Aaj tumhein bhooljaane ki dua karta hoon

Yeh sach hai ki bina dekhe tumhein meine sadiyan gujaardin

Aur ye bhi sach hai ki har saans tumhari yaadon se mila karta hoon.

Hmm..

Har labon pe aaj bas tera hin hai afsana

har koi tujhe dekh hogaya hai diwana
Bekaraar thi kabse nazrein tere is didaar ko
in adaon ke jaam se bhargaya hai meri nazron ka paimana

Jab sanwar ke aati hai tu

Tere sung ek pal baaki lakhon palon ko bhoola deta hai
tera ek dedaar un lakhon chehron ko mita deta hai
teri ek muskurahat ke saamne bijli bhi bejaan hoti hai
aur jisdin tu sanwar ke aajaye mehfil mein aaye haaye us din
shayari hoton ke bajaye ankhon se bayan hoti hai...

Kismat

Byan nahi kar sakta ye aisi majboori hai.......
sachayi ki sarhad se ye kaisi doori hai
kuch halaat ka hai kasoor, kuch darmiya hain Kismat ki
kis kambhakt ki hoti yahan har khwaish puri hai...