Saturday, July 31, 2010

Jhulfein

Door aasmaan tale dekhta hoon jab mein in chaand sitaron ko
feeki lagti hain ye saari ranginian
palat ke jab mein dekhta hoon teri in chamkti jhulf ki baharon ko
aankhen meri us pare kuch dekh na paanyen
teri kaali kaali jhulfen jab lehrain
teri en bezabaan zulfon ki boli ko samjhne
mein aakhen bas dekhti jaayen....

khuda se ek iltezaa hai meri
ki agale janam mujhe teri zoolfon ki wo lat banae
jo tere makhmali gaalon se serakkar
tere rasbhare hoton ko chu jaaye
aur jab tu apni unglion se us lat ko apne kaan ke peeche fansaaye
to ye dar hai mujhe ki kanhi us waqt mere dil ki dharkan na ruk jaaye
aur wo baal tut kar kahin zameen par na gir jaaye.
aur wo baal tut kar kahin zameen par na gir jaaye.

No comments:

Post a Comment