Raat mein dekha tha jo palken band kar ke
Khwab wo abhi adhoora hai
tera wo meri taraf aana aur wo pehli jhalak
ankhon ke saamne abhi bhi wahi chehra hai
tune jo mujhe dekh kar zhukaayi nazren
tera wo andaaz bhi niraala tha
tera sharmana fir adaaon ka kaher
dil ko jaise ghayal kar daala tha
dil ne kaha tujhse poonchun tera pata
par zaban pe jaise laga taala tha
itne andhere mein tera raushan chehra
jaise raat ko cheer raha ujaala tha
teri chamak se meri aankhen ruk si gayin
jaise kisi ne jaado kar daala tha
socha tha tujhko apni nazron mein kaid karloon
palkein jhapkaayin to pehchana ki hua savera hai
raat mein dekha tha jo palkein band kar ke
khwaab wo abhi adhoora hai...
No comments:
Post a Comment