Monday, July 20, 2009

Dosti ki daastan

Tujhe dekha aur teri nazron se dosti ki
Teri soch mein dooba aur teri chahat se dosti ki
Tujhse haale dil kaha aur teri muhabbat se dosti ki
Tere Ikraar pe meine zindagi se dosti ki
Tere sung haseen lamhe bitaaye aur teri yaadon se dosti ki
Tujhko apni baahon mein sameta aur teri khushboo se dosti ki
Tune ki bewafai aur teri nafrat se dosti ki
Dil ne nafrat hone na di to tujhe bhoolne ki galati ki
Tujhe bhulana paaye aur aansuon se dosti ki
Teri judai ka gam seh na sake aur AKHIR 'baba' maut se dosti ki.

2 comments:

  1. wah wah, wah wah.. this is my fav among all ur poems :)

    ReplyDelete
  2. Waah wah.. kiski Bewafai mein aise dukh bhare bol nikal rahe hain ??

    Ek meri teraf se..

    Shayar nahi hoon main,
    Fir bhi Shayari ki baat karta hoon.
    Nahi aati likhna Gazhal,
    Fir bhi likhta rahta hoon.

    ReplyDelete